Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free – 100% REAL Trick

Instagram पर Real Followers कैसे बढ़ाए ( जाने सीक्रेट तरीके)

Instagram par follower Kaise badhaye free mein, doston Kya Aap Bhi Apne Instagram account par ek dam Real aur active followers Badhana Chahte Hain.

Guys followers to Sabhi Instagram users Apne account par Kisi Na Kisi tarike se badhate rahte hain, lekin unmen Aksar followers Aise Hote Hain Jo Kisi kam Ke Nahin Hote Hain.

Vah sirf Naam Aur dikhave Ke Liye Hote Hain, lekin aaj ke is article mein aapko Organic tarike se Instagram par follower Kaise badhaye Iske baare mein bataya jaeyga.

Yahan se Aap Jo followers badhaenge UN followers ke jarie se aapke account ki reach bhi badhegi aur jab aapke account ki reach badh jayegi, to aap Apne Instagram account ke Madhyam se paise bhi Kama sakte hain.

Instagram se paise Kaise kamae Jaate Hain, Iske liye aap is post ko bhi read kar sakte hain, Yahan par Hamne aapko bahut hi best tarike bataye Hain. ( Instagram Se Paise Kaise Kamaye- 8 आसान तरीके )

Jinse Aap apne instagram account se paise Kama sakte hain, To Chaliye doston ab baat karte hain Instagram par follower Kaise badhaye free mein.


Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free?

instagram Par Follower Kaise Badhaye Free: Friends Instagram par organic tarike se real followers badhane ke liye aapko Kisi bhi application ka upyog karne ki jarurat Nahin Hai, aap Bina application download kiye bhi followers Badha sakte hain.

lekin iske liye aapko Instagram par Kuchh setting Aur tricks Ko follow karna hoga, Jiske baad aapke post aur real par reach badhane Lagegi aur aapki post viral hone Lagegi.

Isliye aapko Organic tarike se real followers Badhane Hai, Taki vah aapke account par jyada der tak active Rahe isase aapke post viral hone ke Jyada Chances rahte hain.

Guys agar aap bhi Apne Instagram account par organic tarike se real followers increase karna chahte hain to niche Diye Gaye tarikon ko Apne Instagram account par Implement kijiye in tarikon se aapke Instagram account par real followers badhane lagenge.  Top 3 Sites To Get Free Instagram Followers Likes


1. Top Instagram Categories?

Doston Jab aap apne Instagram account par Content Correction karne ka sochte hain, to usse pahle hi aapko koi ek category Chun leni chahie.

Category chun Lene se aapko yah fayda Hoga, Ki aapko ek hi Tarah ka content dalna Hoga, aur aapke pass Jo audience Hogi, vah ek hi Tarah Ki audience Hogi, isse aapko yah fayda Hoga Ki jyadatar audience aapki post ko dekhegi.

Aapne Dekha hoga Jis account par ek hi Tarah ka content Hota Hai, Unki post par likes followers Kafi Matra Mein badh Jaate Hain, Agar mix content hota hai, to UN par Jyada like ya followers Nahin hote hain, Kyunki Sab logon ka Apna alag alag interest Hota Hai.

Isliye aapko ek hi interest ki audience Jama karni hai, aur yah audience aapki tabhi Jama ho sakti hai, Jab aapke insta account par ek hi Tarah ka content hoga.

Ab Ham aapko Kuchh best category bataenge, Jin par kam karke aap bahut jaldi Apne Instagram account ko Grow kar sakte hain, niche Di Gai category mein se aap koi bhi category Chun sakte hain, aur Apna account create kar sakte hain.

1. Photography

2. Media

3. Fashion

4. Music

5. Arts

6. Fitness and wellness

7. Food

8. Travel

9. Cinema and acting

10. Makeup

11. Dance

12. Health

13. Memes

14. Motivation

15. Earn Money


2. Instagram Account को Professional Account में Convert करें?

Instagram par Jab aap apna account banate hain, to vah normal account Hota Hai, use aapko Professional account mein badalna hai, jisse aapko Kai Sare tools mil Jaate Hain, aur post ka acche se Seo karne ke liye Kuchh option bhi mil Jaate Hain.

Jab Bhi aap apne Instagram account ko Professional account mein badlenge, to aapse poochha Jaega ki aapko business account chahiye ya creator account.

Agar aap apni business ke liye Instagram account banaa rahe hain, to aapko business account select kar lena hai, Nahin to creator account ko select karna hai.

Instagram par Apna khud ka personal account hai, to use aap normal account mein rakh sakte hain, lekin agar aap ek content creator hai, ya apne business ko Instagram ke dwara Badhana Chahte Hain, To Aise mein aapko Compulsary Apne account ko Professional account mein convert kar lena chahiye.

Agar aapka professional account rahata Hai, To Aise Mein post ka acche se SEO kar sakte hain, jisse aap ki post ka reach badhne ka Jyada Chances rahata hai, Iski vajah se aapke Reels bhi viral ho sakte hain, aur aapka account bhi jaldi grow ho sakta hai.  10 Best Sites Free Instagram Followers- 100% FREE Active


3. Instagram Profile को अच्छे से Optimize करें?

Doston Agar aapko Instagram account par free mein real followers lene hain, to iske liye aapko apni profile ko optimise karna hoga, isliye ki profile ko optimise karne ke baad account ka look Kafi had Tak Achcha ho jata hai.

Jo ki dikhne Mein ek dam Professional account lagta hai, jo log bhi aapke Instagram account par aaenge usmen se jyadatar log aapko follow karke Jaenge.

Isliye ki aapki ID ko dekh kar log impress ho Jaenge, aur aapko follow karna Shuru kar denge, Agar Vahi aapke Instagram ID ka look Achcha Nahin hoga, to log aapko ignore Karke Chale Jaenge.

Profile ko optimise karne ke liye aapko Kuchh changes karna hoga, lekin usse pahle agar aap abhi tak Apne Instagram ID ko Professional account mein switch Nahin Kiye Hain, To sabse pahle vah Kar Lijiye.

Uske baad niche Diye Gaye tips ko follow kijiye jisme bahut sari chijen Hamne aapko Batayi Hain, jinhen profile mein implement karne ke baad aapka account optimise ho jaeyga, aur professional lagne lagega.

Add Bio- sabse pahle aapko Apne Instagram profile mein bio ko add karna hai, isliye ki jo log bhi aapke Instagram ko open Karte Hain.

To usme se jyadatar log aapke bio ko dekhte hain, jisse unko Pata Chalta Hai, Ki aapka Instagram account Kis Liye hai, aur uske hisab se aapko follow Karte Hain.

Social Media Link- aapko Apne Instagram account ke bio Mein dusre social media profile ka link dena hai, jisse aapke followers ko aur acchi Tarah Se aapke Upar trust ho jaeyga.

Highlights- Apne Instagram account Ko Professional Dikhane ke liye aapko profile mein highlights lagana hai, isse ye hoga aapke account par Jo log pahli bar Aa rahe hain, vah dekh kar attract Honge, aur aapke account ko follow Karenge.


4. Best Quality Content Upload करें?

Doston aaj ke samay mein social media par quality content hona bahut jaruri hai, iske Bina aap Grow nahin kar sakte, kyunki aap jante ho social media par Kitna competition hai, aise mein aapka Low quality content Kaun dekhega.

Aapane bahut sare content creators se Suna hoga, ki quality par Focus kijiye, agar aap apne Instagram account mein jyada se jyada post reles aur story dalte hain, usse aapko koi fayda nahin hone wala hai.

Isliye aapko kam content hi dalna hai, lekin vah ek dam high quality content hona chahie, jise dekhkar users Santusht Ho Jaye, uske baad dekhna aapka Instagram account kaise rocket ki tarah grow karta hai.

Yahan par Aapko logon Ko quality content ko lekar confusion hoga, to main aapko Bata dun ki quality content ke liye kin baton ka Dhyan rakhna chahie.  7 Best Sites To Buy Instagram Followers in 2024

Sabse pahle to aapka post HD quality mein hona chahie, iske baad Jo reels dalte Hain, usko professional tarike se edit karna chahiye, jo bhi content aap dalte hain usse logon Ko fayda hona chahie.


5. Continue Apne Account Par Daily Post Dalen?

Instagram par aapko regularly Apne niche ke sambandh content dalte rahana hai, yah karna aapko bahut hi jaruri hai, isliye ki agar aap Instagram par regularly content nahin dalenge, to users ko lagega ki aap Active nahin rahte hain.

Aur धीरे-धीरे users aapko unfollow karne lagenge, aap sirf Instagram hi nahin balki dusre social media platform par bhi organic tarike se followers badhana chahte Hain.

To uske liye aapko regular content Dena padega, tabhi aapki audience aapke pass rahegi, agar aap regularly content nahin dete Hain, To aapki audience kisi dusre Creator ko pakad legi.

Isliye aapko daily apni audience ko content dena hai, isse धीरे-धीरे aapko bahut achcha Response milega aur aapko bahut jaldi acchi growth dekhne ko milegi.


6. Trending Topic par jyada se jyada reels dalen?

Aaj ke samay mein kisi bhi social media platform par dekhenge, to sabse jyada short video chal rahe hain, Jo long videos banakar dal rahe hain, unhen short video ke mukabale bahut hi kam response mil raha hai.

Abhi ke samay mein jyadatar log lagbhag reels dekhna pasand kar rahe Hain, isliye ki Chhota sa video hota hai, aur unka kam time mein bahut achcha Manoranjan ho jata hai, aur unse unhen jankari bhi prapt Ho jaati hai.

Yahi vajah hai ki aaj ke samay mein jyadatar log reals dekhna pasand kar rahe Hain, agar aap reels nahin banaa rahe Hain, To Aaj se banana shuru kar dijiye, isse aapke bahut jyada followers badhne Wale Hain.

Kyunki abhi ke samay sabhi log reals ke deewane hain, lekin bahut log pahle se hi reels banaa rahe honge, aise log thoda jyada reels banana shuru kar dijiye, Iisse aapko aur jyada followers milne lagenge.

Instagram par reels banate samay aapko ek baat par bahut hi jyada Dhyan dena hai, ki aapki reels ek dam Paro Level Editing aur interesting honi chahie, tabhi jakar aapki reels viral hogi, aur bahut sare followers aapko mil jaeyege.  Mixx Free Instagram Followers


7. Hashtag का उपयोग करें?

Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free: Instagram par followers badhane ke liye aapko Hashtags ka upyog jarur karna chahie, isse aapka post targeted audience tak pahunchta hai, jisse aapko genuine followers milte Hain.

Hashtags Ka upyog kaise karna hai, jaise ki man Li jiye aap fitness se related Instagram par post dalte Hain, To aise mein aapko Apne post mein fitness se related # Hashtags dalne chahie.

Jaise hi aap # dalne ke liye fitness likhenge, to aapke samne kafi sare hashtags Aa jaate Hain, aapko unme se acche hashtags dekh kar chun lene hai.

Hashtags dalne se yah fayda hota hai, ki jo log fitness se related videos dekhte hain, unke pass mein aapke videos jaane ke chances hashtags ke madhyam se bahut hi jyada badh jaate Hain.


8. Daily इंस्टाग्राम Stories लगाएं?

Instagram ka ek bahut hi achcha features Instagram stories hai, iske baare mein jyadatar log jante hi hain, yah Instagram ke sabse top mein dikhai deta hai.

Instagram stories sirf unhin logon Ko dikhai deta hai, jo aapko pahle se hi follow karke rakhe hain, lekin yah bahut hi Kamal ka features hai, isse Instagram followers aapse Jude rahte hain.

Aur unhen aapke aane wali kisi bhi nayi videos ke baare mein Instagram stories ke jarie pata chal jata hai, Agar aap us video ko apni story par Laga dete Hain, Isliye aap jab bhi kisi content ko upload karte Hain, To use jarur Apne Instagram ki stories par lagaye

Taki aapki audience ko naye aane Wale update ke baare mein pahle se hi pata chal jaaye, isse aapke account ka Engagement badhega, aur aapko नए-नए log bhi follow karenge.


9. दूसरे Creators के साथ Collaboration करें?

Instagram par aap dusre creators ke sath collaboration karke jaldi se jaldi followers badha sakte hain, yah ek bahut hi achcha Tarika hai, lekin jiske sath bhi aap collaboration kar rahe hain, vah aapki category ka hi hona chahie, Agar aap kisi aur category ke creator se collaboration karte Hain.

To usse aapko koi fayda nahin hone wala hai, doston Ab yahan par aapke man mein ek sawal Aa Raha hoga, ki collaboration ke liye to creator log paise charge karte hain, yah baat to ek dam sahi hai, Agar aapke Instagram account mein 5K Ye 10K followers Hain, To aise mein aapko chhote creator Ko dhundhna hai.

jinka followers lagbhag aapke barabar ya ya thoda bahut jyada ho, vah log aapke sath free mein collaboration kar lenge. Usse yah hoga ki aapane Jo bhi post sath mein banaya hai, unke followers Aakar post ko dekhenge, Aur aapke account ko follow karenge.  Trollishly Followers instagram Free 100% Free

Is tarah collaboration karne par aapki Instagram ID par bahut hi kam samay mein jyada followers Ho jaenyge, Friends yah the kuchh organic tarike jinse aap apne Instagram account par followers increase kar sakte hain.


FAQ?

Aap post dalne se pahle Apne Instagram account ke Dashboard mein jakar check Karen, ki aapki audience kis time active rahti hai, jis waqt aapki audience jyada active rahti hai, aapko usi time post dalna hai.

Instagram par followers badhane ke liye aapko trending topic par post dalna chahiye, trending topic par post ke viral hone ke chance jyada hote Hain.

Instagram se paise kaise kamaye, Agar aapke Instagram account par 5K Ya 10K followers Hain, To aap Sponsorship ke jarie apne Instagram account se paise Kama sakte hain.


Conclusion?

Doston hamne aapko is article mein organic tarike se Instagram par followers kaise badhaye free mein iske baare mein bahut acche se step bye step bataya hai.

Taki aap apne Instagram account par real followers increase kar sake, agar aapko hamari yah post pasand Aayi hai, To aap hamen comment karke jarur bataye, aur apne doston ke sath bhi share Karen.</p>

Taki aapke dost bhi jan sake instagram Par Follower Kaise Badhaye Free mein, to chaliye doston milte Hain, kisi best Instagram free followers trick ke sath. Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free Instagram Par Follower Kaise Badhaye Free

Leave a Comment