How To Use MX Taka Tak App, MX Takatak Me Video Kaise Banaye?
So what’s up guys Aaj ham baat karne Wale Hain MX takatak app ke bare mein MX takatak app ka kaise use kar sakte hain kaise ismein video banate hain Aaj ham baat karenge MX takatak ek shot video app hai jaise ki Tik Tok hai ye bhi tiktok ki hi tarah kam Karta hai vaisa hi aapko ismein UI interface dekhne ko milta hai.
India mein tiktok ban hone ki vajah se MX takatak App ko launch Kiya gaya MX takatak app ko launch karne wali company hai MXP Media India Formerly J2 Interactive, aap jante hi honge is company ne ab se pahle bhi ek app ko launch kya hua hai jo ki bahut hi most popular app hi MX player yah Inka pahla app hai aur ab MX takatak App launch Kiya Gaya hai Tik Tok ban hone ki vajah se yah bahut hi achcha shot video app hai.
Jahan per aap apna talent dikha kar famous ho sakte ho aur sath hi sath kuchh Paisa bhi Kama sakte ho to guys India mein Tik Tok ban hone ki vajah se kafi sare tiktoker pareshan ho gaye the ki ab ham kahan per videos ko post karenge kahan per videos banaenge kyunki ki ek best short video app abhi tak launch nahin kiya gaya tha aur ab MX takatak App launch Ho Gaya hai ab Jo bhi tiktokers pareshan the ab aap yahan per videos post kar sakte ho mx takatak per aap apna account banakar yahan per famous ho sakte ho yahan per video banaa sakte ho.
chalo main aapko batata Hun video aapko is app mein kaise banana hai video banane se pahle aapko ismein apna account create karna padega apni ID ismein banani padegi id banane ka jo process hai vah maine aapko pichli post mein Bata Diya tha main aapko niche uska link de dunga jakar vah post dekh lena aur apna account banaa Lena account banane ke bad mein ab aapko is app mein video banana hai video banane ke liye pahle ham MX takatak app ko open kar lenge.
uske bad mein ek Plus ka option hai is per click karenge aapko ismein 3 option milenge number 1 shoot second Edit video aur third hai Edit image agar aap live MX takatak app ke camere se video shoot karna chahte ho to aap shoot wale first option per click karenge aur second wala option hai agar aapke pass mein pahle se aapne koi video edit karke Rakha hua hai kisi bhi editing software se to Bus aapko use upload karna hai to second wale option per click karenge Edit video aur 3rd agar aap apne image photo se video banana chahte Hain To aap edit image wale per click Karenge.
How To Use MX Taka Tak App, MX Takatak Me Video Kaise Banaye
to chalo main aapko Bata deta hun mere pass mein ek video Rakha hua hai aap kaise apni video ko yahan per upload karenge aur vaise hi aap apni video ko shoot bhi kar sakte hain. jo video aapke pass pehle se edit hua rakha hai usko kaise upload karna hai Edit wale option per click karenge aur jo bhi aap video upload karna chahte ho us video ko aap select kar lenge aur uske bad mein aap next karenge fir se next karenge video processing hokar aage a jaega abhi yahan per aap ko kafi sare option mil jaenge music hua effect hua speed hua bahut sare effect aur filter aapko mil jate Hain Jo bhi inmein se aapko apni video mein use karna hai aap use per click karke vah chij ko aap apni video mein use kar sakte hain.
music agar aap ko lagana hai to music per click karke Laga sakte hain jo bhi aapko chahie vah Sab apni video mein use kar sakte hain jab aapko Lage ki Mere video main filter use kar liya effect use kar liya ab mujhe apni video ko upload karna hai to aapko complete ka ek option hai aap is per click kar denge video aapka processing hoga aur aage chala jaega ab yahan per aapko apna video ka description dalna hai yani ki jo bhi aapane apni video mein sound use Kiya ya FIR jo bhi aapane apni voice mein bola hai uska title dal denge aur #hashtag ka use kar lenge #hashtag title dalne ke bad mein aap Ko sidha apni video ko post kar dena hai video aapka successfully post ho jaega.
ISI tarike se aap shoot wale option per click karke aur aap live apni video ko record kar sakte hain aap pahle select kar lenge slow chahie fast chahie ya fir normal chahie uske bad click kar denge camere ke option per aur video aapka record hone lag jaega record hone ke bad main aapko ISI tarike se video ko upload kar dena hai aapka video isi tarike se upload ho jaega.
So I hope ki guys, aapko samajh mein aaya jo maine aapko bataya jyada jankari ke liye mere YouTube channel ko visit kar sakte hain main vahan per bhi videos Dala hua hai detail mein niche aapko link Diya gaya hai.
Thank You:
SUBSCRIBE MY YOUTUBE CHANNEL
Other Post:
Download Power Director Without Watermark
OnePlus Nord price in India launch
Redmi note 9 with 48mp quad-camera
Samsung galaxy M31s launch 30 July