Doston aaj ki is post me aapko batane wala hun, Fix AdSense-How To Fix You Already Have An AdSense Account 2021. Doston jab Kisi ka Google AdSense account disabled ho jata hai, to vah Banda kafi jyada pareshan ho Jata hai, kyunki absense hi Ek last point hota hai, uski site ko monetize karne ke liye ya FIR YouTube channel ko monetize Karne ke liye,
lekin agar AdSense account hi aapka disable Ho jaaye, to Kafi jyada Bura lagta hai. aur Banda Kafi jyada pareshan ho jata hai, ke maine itne din se mehnat ki hai Lekin fir bhi koi fayda nahin Hua. Lekin guys aaj ki is post mein main aapko bataunga, kaise aap apne AdSense ki problem ko fix kar sakte hain.
Why do you have a problem with Already Adsense?
sabse pahle baat karte hain ki aapka Jo AdSense account disabled Hua hai. vah kis vajah se hua hai waise jyadatar jo AdSense account disabled hota hai.
vah you already have an AdSense account ki vajah se hota hai. aur yah problem tab aati hai jab aapke pass mein pahle se aapane koi adsence account banaa kar rakha Hua hai. aur uska aapko pata nahin, aur usi Naam se ek aur sam address se same name se aap ek aur dusra AdSense account banaa lete ho.
tab yah problem a jaati hai kyunki AdSense account 1 person Puri life mein ek hi AdSense account banaa sakta hai. isiliye jab bhi Google AdSense team ko lagta hai ki iske Naam aur address per pehle se koi adsense account bana hai, To vah aapke dusre AdSense account ko disable kar deta hai.
Fix AdSense-Important Baat
Is problem ko fix karne ke liye pahle main aapko kuchh thodi si common baten main aapko samjha deta hun jo ki agar aap yah chij samajh lete ho to aap ki problem aap aasani se fix kar sakte ho Jo ab main aapko bata raha hun. Dekho guys jo aapko adsence ki taraf se email bheja gaya hai.
usmein ek email hota hai, ki aap ka pahla jo AdSense account banaa hua hai, vah is Gmail per banaa hua hai, aur AdSense team bolti hai, aap ya to is AdSense account ko use Karen ya FIR agar aap is AdSense account Tak nahin pahunch pa rahe hain.
ya to aapko iska Gmail ID nahin pata yah kaun si Gmail ID per bana hua hai ya FIR aapko pata bhi hai lekin aap usko recover nahin kar pa rahe ho, lekin aise mein adsense team bolati hai aapko jo pahla AdSense account bana hua hai, jo email aapko bheja Gaya.
usmein Jo Gmail hai us, per Jo AdSense account hai Vah ya to aap ise use Karen Nahin to aapko usko permanently delete Karna hoga. uske bad hi aap Apne Naam se aur same address se dusra AdSense account bana sakte hai koi problem Nahin hai.
Lekin problem yeh hai ki aapko us Gmail ID ka nahin pata Jo email mein bheja gaya, ki yah kaun sa Gmail id hai to aap usko na to use kar sakte aur nahi aap usko delete kar sakte, to aise me problem fix nahi hogi, lekin guys tension aapko nahin lena hai, main aapko bataunga kaise aap is problem ko fix kar sakte hain Bahut aasani se.
AdSense-Create New Adsense Other Person
Sabse pahle aapko karna kya hai, agar aap us Gmail ID Tak nahin pahunch par rahe ho, us AdSense account ko delete nahin kar pa rahe ho. to aapko kaise is problem ko fix karna hai, uske liye aapko jis bhi Naam se error a raha hai, ke is Naam per aapka pahle se AdSense account banaa hua hai.
us naam se aapko Adsense account nahin banana hai, agar usi Naam se bnao ge to aapko error aata rahega Kabhi bhi aapki problem solve nahin hogi. kyunki jab tak Vah AdSense account delete nahin hoga tab tak yah problem aati rahegi.
ab aapko karna yah hai, aap usko delete to nahin kar pa rahe Ho To aise main aapko ek Apne family member mein se kisi aur ke Naam se AdSense account banana hai. adress vahi rahega adress mein koi problem nahin hai.
Create New Fresh Gmail Account
Lekin Adsense account kis tarike se banana hai, Sabse pahle aapko ek new fresh Gmail ID create karni hai, aur vah bhi ek fresh new mobile number ke sath mein.
vah mobile number aapka AdSense account mein pahle se use Na Hua ho. aise mobile number se aapko Gmail ID banani hai. jis person ke naam se aap AdSense account banane ja rahe ho usi ke naam se aapko Gmail ID create karni hai. ek new mobile number se.
Ab Jaise hi aapka Gmail ID create ho jata hai, ab aapko karna kya ha. ye main aapko YouTube ke liye bata raha hun agar aapka site hai to aap niche comment karna, main uske upar bhi artical post kar dunga.
AdSense-How To Fix You Already Have An AdSense Account
ab aapko Apne YouTube channel ke monetize wale page per chale Jana hai. aur second step mein error dikhega fix in AdSense option per click Karna hai. uske bad mein Arrow per click Karna hai, uske bad second option ko choose Karna hai. I don’t have an existing account.
uske bad mein continue Karna hai, jo aapne Abhi new Gmail id banaya tha, usi Gmail ID ko select kar Lena hai. Ab aap ke samne AdSense open ho jaega. sabse pahle aapko apni country select kar lena hai. country select karne ke bad mein yes aur no ka option dikhega unme se yes option ko choose Karna hai.
ab aapko kuchh term and condition aaegi term and conditions ko aapko accept kar Lena hai. Uske bad mein create account per click karna hai. aur uske bad mein aapke samne Getstart ka option aaega use per click karna hai. aur ab aapko name aur adress dalna hai.
ek new naam se jo aapane Gmail banai thi usi bande ka naam aapko dalna hai. aur adress aapka vahi rahega koi dikkat nahin hai, adress aur naam dalne ke bad main aapko submit per click kar dena hai.
click Karne ke bad mein redirect hone me kuchh second lega, aur yah aapke usi YouTube channel ke monetization wale page per redirect kar dega, aur ab aap dekhoge in-progress mein aapka Channel chala Gaya hai.
ab ismein aapko 5 se 6 ghante lagenge, to aapko wait kar lena hai. aur second step aapka Done like ke a jaega aur aapka Channel successfully under review mein chala jaega. yani 3 step in-progress me chala jayega. aur kuchh aur problem hai to aap mujhe niche comment jarur karna.
Watch This Video
SUBSCRIBE TO MY YOUTUBE CHANNEL FOR MORE UPDATES?
More Post
Tik Tok की पुरानी आईडी कैसे चालू करे बिना नंबर ईमेल के
How To Recover Tiktok Account without Email or phone number
Recover Tik Tok Account Without Facebook